Khuda ki banai qudrat nahi dekhi, Dilon main chupi dolat nahi dekhi, Jo kehta hai doori se mit jati hai dosti, Us ney shayud hamari dosti nahi daikhi
Category: Poetry
Hum woh phool hain jo roz roz nahi khiltay, Yeh wo hont hain jo kabhi nahin siltay, Hum se bichro ge to ehsas hoga tumhain, Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay
Meri nigah-e-kamal ka intikhab ho tum, Wafa k pholon main haseen gulab ho tum, Log kehte hain doston main wafa nahi hoti, Logon k sab sawalon ka jawab ho tum…
Dosti ki wajah nahin hoti, Dosti saza nahin hoti, Dosti me hoti he imandari, Dosti me duniadari nahi hoti, Dost jaan se pyara hota he, Dost se jaan pyari nahin hoti
Kuch dost pal bhar me bhula diye jate hain kuch dost pal-pal yad aatey hain hum apse yahi puchna chahte hain k dosto ki is qataar me hum kahan aatey hain
Hum chat par charhe patang urane ke bahane, Wo bhi chat par aayi kapde sukhane ke bahane, Uske mummy ne jo dekha ye haseen nazara, Jhadu le aayi wo bandar bhagane ke bahane.
Bun k ahsas meri dharkan k paas rehtay ho, Tasveer ban k meri aankhon k paas rehtay ho, Aaj poochtay hain aik sawal tumsay, kiya door reh ker tum bhi udaas rehtay ho? <Miss You>
Mushkilen dil k irade aazmayen gi Nigahon se khuwabon k parde hataye gi Gir kar kabhi himat na harna Yehi thokren tumhain zindagi main chalna sikhayen gi